Mukhya Seva Karya :-
Gau Mata Ki Seva Aur Suraksha
Dharamveer Sewa Foundation mein hum besahaara, beemar aur ghaayal Gau Mata ki seva aur suraksha ke liye samarpit hain. Hum unke liye hara chara, poshtik aahar, surakshit aashray, samay par ilaaj aur rozana dekhbhaal ki vyavastha karte hain, taaki har Gau Mata ko pyaar, samman aur surakshit jeevan mil sake.